hai aam waise to kahlae jo naqab yahan
hai aam vaise to kahlā.e jo naqāb yahāñ
numāyāñ jism jo kar de vo hai hijāb yahāñ
na zauq-e-ilm hai ham meñ na iktisāb yahāñ
vaqār khoyā hai kitnā nahīñ hisāb yahāñ
hamīñ the vo ki jo duniyā meñ hukmrāñ the kabhī
hamīñ haiñ ab ki hai ġhurbat hai iztirāb yahāñ
kitāb-e-ḳhair to rakh dī hai ham ne tāqoñ meñ
rakhā hai khol ke har ek shar kā baab yahāñ
gunāh karte haiñ be-ḳhauf be-jhijhak ham sab
hai faḳhr isyāñ pe jaise koī savāb yahāñ
hai aam waise to kahlae jo naqab yahan
numayan jism jo kar de wo hai hijab yahan
na zauq-e-ilm hai hum mein na iktisab yahan
waqar khoya hai kitna nahin hisab yahan
hamin the wo ki jo duniya mein hukmran the kabhi
hamin hain ab ki hai ghurbat hai iztirab yahan
kitab-e-KHair to rakh di hai hum ne taqon mein
rakha hai khol ke har ek shar ka bab yahan
gunah karte hain be-KHauf be-jhijhak hum sab
hai faKHr isyan pe jaise koi sawab yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.