hai aarzu ye koi to aisa dikhai de
hai aarzū ye koī to aisā dikhā.ī de
jo be-hisī ke daur meñ apnā dikhā.ī de
ahvāl-e-zindagī meñ hai har shaḳhs ajnabī
chehra koī to mujh ko shanāsā dikhā.ī de
hai kashmakash meñ aaj baḌī zindagī mirī
huuñ muntazir ki koī to rasta dikhā.ī de
chāroñ taraf hai raaj udāsī kā āj-kal
koī to ho jo shahr meñ hañstā dikhā.ī de
hai aane vaale vaqt se ik 'rūbī' ḳhauf sā
ummīd kā diyā koī jaltā dikhā.ī de
hai aarzu ye koi to aisa dikhai de
jo be-hisi ke daur mein apna dikhai de
ahwal-e-zindagi mein hai har shaKHs ajnabi
chehra koi to mujh ko shanasa dikhai de
hai kashmakash mein aaj baDi zindagi meri
hun muntazir ki koi to rasta dikhai de
chaaron taraf hai raj udasi ka aaj-kal
koi to ho jo shahr mein hansta dikhai de
hai aane wale waqt se ek 'rubi' KHauf sa
ummid ka diya koi jalta dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.