hai ab dushman wahi apna bahut tha
hai ab dushman vahī apnā bahut thā
use ham ne kabhī chāhā bahut thā
añdherā hī añdherā duur tak thā
bichhaḌ ke us se maiñ royā bahut thā
ubharnā chāhte the aur Duube
samundar pyaar kā gahrā bahut thā
zamāne ko bhulā dene kī ḳhātir
tasavvur meñ tirā chehra bahut thā
hamāre saath 'sājid' nibh na paa.ī
magar vo dost to achchhā bahut thā
hai ab dushman wahi apna bahut tha
use hum ne kabhi chaha bahut tha
andhera hi andhera dur tak tha
bichhaD ke us se main roya bahut tha
ubharna chahte the aur Dube
samundar pyar ka gahra bahut tha
zamane ko bhula dene ki KHatir
tasawwur mein tera chehra bahut tha
hamare sath 'sajid' nibh na pai
magar wo dost to achchha bahut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.