hai baqa ishq ki rahon mein fana ho jaana
hai baqā ishq kī rāhoñ meñ fanā ho jaanā
ḳhud meñ rahnā na kabhī ḳhud se judā ho jaanā
apne hone kā hai ehsās tire hone se
ġhair mumkin hai mirā tujh se judā ho jaanā
maiñ usī lamha samajh letā huuñ ḳhud ko kāfir
jis meñ ho tere ḳhayāloñ se judā ho jaanā
uTh ke jaanā tirā pahlū se mire lagtā hai
jism kī qaid se sāñsoñ kā rihā ho jaanā
ham ko lagtā hai ki sau sajdoñ se behtar hai yahī
ek sajde kā tire dar pe adā ho jaanā
jā ke us shoḳh ko koī ye batā de 'zīshān'
achchhā lagtā hai hameñ us kā ḳhafā ho jaanā
hai baqa ishq ki rahon mein fana ho jaana
KHud mein rahna na kabhi KHud se juda ho jaana
apne hone ka hai ehsas tere hone se
ghair mumkin hai mera tujh se juda ho jaana
main usi lamha samajh leta hun KHud ko kafir
jis mein ho tere KHayalon se juda ho jaana
uTh ke jaana tera pahlu se mere lagta hai
jism ki qaid se sanson ka riha ho jaana
hum ko lagta hai ki sau sajdon se behtar hai yahi
ek sajde ka tere dar pe ada ho jaana
ja ke us shoKH ko koi ye bata de 'zishan'
achchha lagta hai hamein us ka KHafa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.