hai bhi aur phir nazar nahin aati
hai bhī aur phir nazar nahīñ aatī
dhyān meñ vo kamar nahīñ aatī
muḳhtasar hāl-e-dard-e-dil ye hai
maut ai chāra-gar nahīñ aatī
niiñd kā kaam garche aanā hai
merī āñkhoñ meñ par nahīñ aatī
be-tarah paḌtī hai nazar un kī
ḳhair dil kī nazar nahīñ aatī
jaan denī to ham ko aatī hai
dil ko taskīn agar nahīñ aatī
un kā aanā to ek aanā hai
maut bhī vaqt par nahīñ aatī
'anvar' is shab kī dekh lo tāḳhīr
sub.h hotī nazar nahīñ aatī
hai bhi aur phir nazar nahin aati
dhyan mein wo kamar nahin aati
muKHtasar haal-e-dard-e-dil ye hai
maut ai chaara-gar nahin aati
nind ka kaam garche aana hai
meri aankhon mein par nahin aati
be-tarah paDti hai nazar un ki
KHair dil ki nazar nahin aati
jaan deni to hum ko aati hai
dil ko taskin agar nahin aati
un ka aana to ek aana hai
maut bhi waqt par nahin aati
'anwar' is shab ki dekh lo taKHir
subh hoti nazar nahin aati
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 129)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.