hai chaman mein zindagi ki dastan bikhri hui
hai chaman meñ zindagī kī dāstāñ bikhrī huī
phuul murjhā.e hue aur pattiyāñ bikhrī huī
ik nazar ke sāmne hai us nazar kī oT meñ
zindagī hai do jahāñ ke darmiyāñ bikhrī huī
maiñ samajhtā huuñ zamīñ par inqalāb aane ko hai
āsmāñ par haiñ shafaq kī surḳhiyāñ bikhrī huī
dekhne kī chiiz thī kal ḳhvāb-gāh-e-nāz meñ
hasrateñ sahmī huī añgḌā.iyāñ bikhrī huī
apnī hālat ko jo dekhā inqalāb aane ke baad
dil ke vīrāne meñ thiiñ ḳhush-fahmiyāñ bikhrī huī
aaj 'tābish' phir yahāñ par baiThne ke shauq meñ
jam.a karnī paḌ ga.iiñ tanhā.iyāñ bikhrī huī
hai chaman mein zindagi ki dastan bikhri hui
phul murjhae hue aur pattiyan bikhri hui
ek nazar ke samne hai us nazar ki oT mein
zindagi hai do jahan ke darmiyan bikhri hui
main samajhta hun zamin par inqalab aane ko hai
aasman par hain shafaq ki surKHiyan bikhri hui
dekhne ki chiz thi kal KHwab-gah-e-naz mein
hasraten sahmi hui angDaiyan bikhri hui
apni haalat ko jo dekha inqalab aane ke baad
dil ke virane mein thin KHush-fahmiyan bikhri hui
aaj 'tabish' phir yahan par baiThne ke shauq mein
jama karni paD gain tanhaiyan bikhri hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.