hai dhum-e-rindan ek taraf saqi ka saman ek taraf
hai dhum-e-rindan ek taraf saqi ka saman ek taraf
Lutfunnisa Imtiyaz
MORE BYLutfunnisa Imtiyaz
hai dhūm-e-rindāñ ik taraf saaqī kā sāmāñ ik taraf
mīnā-e-giryāñ ik taraf aur jām-e-ḳhandāñ ik taraf
dekhe use gar yak nazar vo taab se be-tāb ho
ḳhurshīd-e-larzāñ ik taraf aur mah gurezāñ ik taraf
ḳhandāñ chaman meñ kis qadar qāmat par apne sar-kashāñ
hai sarv-e-nāzāñ ik taraf shamshād-e-shādāñ ik taraf
aise meñ aa pahuñche agar vo māya-e-nāz-o-adā
hoñ lāf-bāzāñ ik taraf vo jān-e-jānāñ ik taraf
ab 'imtiyāz' haigī ajab hī āshiqoñ kī saf meñ dhuum
giryāñ-o-nālāñ ik tarf chāk-e-garebāñ ik taraf
hai dhum-e-rindan ek taraf saqi ka saman ek taraf
mina-e-giryan ek taraf aur jam-e-KHandan ek taraf
dekhe use gar yak nazar wo tab se be-tab ho
KHurshid-e-larzan ek taraf aur mah gurezan ek taraf
KHandan chaman mein kis qadar qamat par apne sar-kashan
hai sarw-e-nazan ek taraf shamshad-e-shadan ek taraf
aise mein aa pahunche agar wo maya-e-naz-o-ada
hon laf-bazan ek taraf wo jaan-e-jaanan ek taraf
ab 'imtiyaz' haigi ajab hi aashiqon ki saf mein dhum
giryan-o-nalan ek tarf chaak-e-gareban ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.