hai dhyan jo apna kahin ai mah-jabin aur
hai dhyān jo apnā kahīñ ai māh-jabīñ aur
jaanā hai kahīñ aur to jaatā huuñ kahīñ aur
jab tū hī kare dushmanī ham se to ġhazab hai
tere to sivā apnā koī dost nahīñ aur
maiñ hashr ko kyā ro.uuñ ki uTh jaate hī tere
barpā huī ik mujh pe qayāmat to yahīñ aur
va.ada to tire aane kā hai sach hī va-lekin
baazū ke phaḌakne se huā dil ko yaqīñ aur
āḳhir tū kahāñ kūcha tirā aur kahāñ ham
kar leveñ yahāñ baiTh ke ik āh-e-hazīñ aur
thā rū-e-zamīñ tañg zi-bas ham ne nikālī
rahne ke liye sher ke aalam meñ zamīñ aur
naam apnā likhāve to likhā dil pe tū mere
is naam ko behtar nahīñ is se to nagīñ aur
abrū kī to thī chiin mire dil pe ġhazab par
mizhgāñ se numūdār hue ḳhanjar-e-kīñ aur
nikle to usī kūcha se ye gum-shuda nikle
DhūñDhe hai 'hasan' dil ko to phir DhūñD vahīñ aur
hai dhyan jo apna kahin ai mah-jabin aur
jaana hai kahin aur to jata hun kahin aur
jab tu hi kare dushmani hum se to ghazab hai
tere to siwa apna koi dost nahin aur
main hashr ko kya roun ki uTh jate hi tere
barpa hui ek mujh pe qayamat to yahin aur
wada to tere aane ka hai sach hi wa-lekin
bazu ke phaDakne se hua dil ko yaqin aur
aaKHir tu kahan kucha tera aur kahan hum
kar lewen yahan baiTh ke ek aah-e-hazin aur
tha ru-e-zamin tang zi-bas hum ne nikali
rahne ke liye sher ke aalam mein zamin aur
nam apna likhawe to likha dil pe tu mere
is nam ko behtar nahin is se to nagin aur
abru ki to thi chin mere dil pe ghazab par
mizhgan se numudar hue KHanjar-e-kin aur
nikle to usi kucha se ye gum-shuda nikle
DhunDhe hai 'hasan' dil ko to phir DhunD wahin aur
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.