hai dil mein ghubar uske ghar apna na karenge
hai dil meñ ġhubār us ke ghar apnā na kareñge
ham ḳhaak meñ milne kī tamannā na kareñge
kyūñkar ye kaheñ minnat-e-ādā na kareñge
kyā kyā na kiyā ishq meñ kyā kyā na kareñge
hañs hañs ke vo mujh se hī mire qatl kī bāteñ
is tarah se karte haiñ ki goyā na kareñge
kyā naame meñ likkhūñ dil-e-vābasta kā ahvāl
mālūm hai pahle hī ki vo vā na kareñge
ġhairoñ se shakar-lab suḳhan-e-talḳh bhī terā
har chand halāhil ho gavārā na kareñge
bīmār-e-ajal-chāra ko gar hazrat-e-īsā
achchhā bhī kareñge to kuchh achchhā na kareñge
jhunjhlāte ho kyā dījiye ik bosa dahan kā
ho jā.eñge lab band to ġhauġhā na kareñge
dīvār ke gir paḌte hī uThne lage tūfāñ
ab baiTh ke kone meñ bhī royā na kareñge
gar sāmne us ke bhī gire ashk to dil se
kyuuñ roz-e-jazā ḳhuun kā daavā na kareñge
kis vaqt kiyā mardumak-e-chashm kā shikva
ai parda-nashīñ ham tujhe rusvā na kareñge
nāseh kaf-e-afsos na mal chal tujhe kyā kaam
pāmāl kareñge vo mujhe yā na kareñge
us kū meñ Thaharne na diyā josh-e-qalaq ne
aġhyār se ham shikva-e-bejā na kareñge
gar zikr-e-vafā se yahī ġhussa hai to ab se
go qatl kā vaada ho taqāzā na kareñge
'momin' vo ġhazal kahte haiñ ab jis se ye mazmūn
khul jaa.e ki tark-e-dar-e-but-ḳhāna kareñge
hai dil mein ghubar us ke ghar apna na karenge
hum KHak mein milne ki tamanna na karenge
kyunkar ye kahen minnat-e-ada na karenge
kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge
hans hans ke wo mujh se hi mere qatl ki baaten
is tarah se karte hain ki goya na karenge
kya name mein likkhun dil-e-wabasta ka ahwal
malum hai pahle hi ki wo wa na karenge
ghairon se shakar-lab suKHan-e-talKH bhi tera
har chand halahil ho gawara na karenge
bimar-e-ajal-chaara ko gar hazrat-e-isa
achchha bhi karenge to kuchh achchha na karenge
jhunjhlate ho kya dijiye ek bosa dahan ka
ho jaenge lab band to ghaugha na karenge
diwar ke gir paDte hi uThne lage tufan
ab baiTh ke kone mein bhi roya na karenge
gar samne us ke bhi gire ashk to dil se
kyun roz-e-jaza KHun ka dawa na karenge
kis waqt kiya mardumak-e-chashm ka shikwa
ai parda-nashin hum tujhe ruswa na karenge
naseh kaf-e-afsos na mal chal tujhe kya kaam
pamal karenge wo mujhe ya na karenge
us ku mein Thaharne na diya josh-e-qalaq ne
aghyar se hum shikwa-e-beja na karenge
gar zikr-e-wafa se yahi ghussa hai to ab se
go qatl ka wada ho taqaza na karenge
'momin' wo ghazal kahte hain ab jis se ye mazmun
khul jae ki tark-e-dar-e-but-KHana karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.