hai faiz-e-am par sail kahan hai
hai faiz-e-ām par saa.il kahāñ hai
lahū girne ko hai qātil kahāñ hai
tilism-e-dasht kā maarā hai majnūñ
sarāb-e-chashm hai mahmil kahāñ hai
talab kī intihā hī ibtidā hai
nazar aatī hai jo manzil kahāñ hai
sitāroñ se bhī aage aa ga.ī huuñ
merī parvāz kā hāsil kahāñ hai
gul-e-nargis ne pūchhā raat mujh se
tirī āñkhoñ meñ thā jo til kahāñ hai
maiñ ā.īnoñ meñ ghir kar rah ga.ī huuñ
mirā chehra to hai par dil kahāñ hai
hai faiz-e-am par sail kahan hai
lahu girne ko hai qatil kahan hai
tilism-e-dasht ka mara hai majnun
sarab-e-chashm hai mahmil kahan hai
talab ki intiha hi ibtida hai
nazar aati hai jo manzil kahan hai
sitaron se bhi aage aa gai hun
meri parwaz ka hasil kahan hai
gul-e-nargis ne puchha raat mujh se
teri aankhon mein tha jo til kahan hai
main aainon mein ghir kar rah gai hun
mera chehra to hai par dil kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.