hai jamal-e-husn ka partaw sanam-KHana kahin
hai jamāl-e-husn kā partav sanam-ḳhāna kahīñ
but-kada ka.aba kahīñ hai aur mai-ḳhāna kahīñ
sīdhe raste se bhaTak jaa.e na farzāna kahīñ
aa na jaa.e aql kī bātoñ meñ dīvāna kahīñ
ye bhī koī zindagī meñ zindagī hai ham-nafas
dil kahīñ hai ham kahīñ haiñ aur jānāna kahīñ
tābish-e-barq-e-sitam se yā ilāhī jal na jaa.e
andalīb-e-zār kā gulshan meñ kāshāna kahīñ
phir na dohrā.e kahīñ tārīḳh anjām-e-sitam
ho na jaa.e sabr kā labrez paimāna kahīñ
un ke dāman se lipaT hī jā.egī bas ḳhāk-e-dil
zid pe aa jaa.e na apnā josh-e-rindāna kahīñ
kaisī ujḌī hai ye mahfil 'aish' hangām-e-sahar
sham-e-kushta hai kahīñ aur ḳhāk-e-parvāna kahīñ
hai jamal-e-husn ka partaw sanam-KHana kahin
but-kada kaba kahin hai aur mai-KHana kahin
sidhe raste se bhaTak jae na farzana kahin
aa na jae aql ki baaton mein diwana kahin
ye bhi koi zindagi mein zindagi hai ham-nafas
dil kahin hai hum kahin hain aur jaanana kahin
tabish-e-barq-e-sitam se ya ilahi jal na jae
andalib-e-zar ka gulshan mein kashana kahin
phir na dohrae kahin tariKH anjam-e-sitam
ho na jae sabr ka labrez paimana kahin
un ke daman se lipaT hi jaegi bas KHak-e-dil
zid pe aa jae na apna josh-e-rindana kahin
kaisi ujDi hai ye mahfil 'aish' hangam-e-sahar
sham-e-kushta hai kahin aur KHak-e-parwana kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.