hai jo diwar par ghaDi tanha
hai jo dīvār par ghaḌī tanhā
dekhtī huuñ paḌī paḌī tanhā
chāñd meñ aks DhūñDhtī huuñ tirā
roz āñgan meñ maiñ khaḌī tanhā
sochtī huuñ kī jald din nikle
raat itnī lage baḌī tanhā
yaad kartī huuñ apne maazī ko
haal kī qabr meñ paḌī tanhā
saare apnoñ kī bhiiḌ meñ rah kar
apne hālāt se laḌī tanhā
hai jo diwar par ghaDi tanha
dekhti hun paDi paDi tanha
chand mein aks DhunDhti hun tera
roz aangan mein main khaDi tanha
sochti hun ki jald din nikle
raat itni lage baDi tanha
yaad karti hun apne mazi ko
haal ki qabr mein paDi tanha
sare apnon ki bhiD mein rah kar
apne haalat se laDi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.