hai jo rang uski jalwa-gahon mein
hai jo rañg us kī jalva-gāhoñ meñ
dekhtā huuñ vahī nigāhoñ meñ
sair ko aa gayā vo jān-e-jahāñ
paḌ ga.ī jaan sair-gāhoñ meñ
ab to mai-ḳhānoñ se bhī kuchh baḌh kar
jaam chalte haiñ ḳhānqāhoñ meñ
merā da.avā hai ishq meñ sachchā
dīda-e-tar haiñ do gavāhoñ meñ
bad-gumānī na kar 'sharaf' pe ki vo
dil se hai tere ḳhair-ḳhvāhoñ meñ
hai jo rang us ki jalwa-gahon mein
dekhta hun wahi nigahon mein
sair ko aa gaya wo jaan-e-jahan
paD gai jaan sair-gahon mein
ab to mai-KHanon se bhi kuchh baDh kar
jam chalte hain KHanqahon mein
mera dawa hai ishq mein sachcha
dida-e-tar hain do gawahon mein
bad-gumani na kar 'sharaf' pe ki wo
dil se hai tere KHair-KHwahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.