hai kahe dete hain zahmat-KHurda hai
hai kahe dete haiñ zahmat-ḳhurda hai
dil to hāzir hai magar pazhmurda hai
tū hī aatā hai na aatī hai qazā
dekhte haiñ jis ko vo āzurda hai
jis tarah jī chāhe rakheñ merā dil
jānte haiñ vo ki maal murda hai
manzil-e-ulfat meñ rakkheñ to qadam
rustam-o-suhrāb kā kyā gurda hai
kaun suntā hai tumhārī ai 'nasīm'
kis ko pās-e-ḳhātir-e-afsurda hai
hai kahe dete hain zahmat-KHurda hai
dil to hazir hai magar pazhmurda hai
tu hi aata hai na aati hai qaza
dekhte hain jis ko wo aazurda hai
jis tarah ji chahe rakhen mera dil
jaante hain wo ki mal murda hai
manzil-e-ulfat mein rakkhen to qadam
rustam-o-suhrab ka kya gurda hai
kaun sunta hai tumhaari ai 'nasim'
kis ko pas-e-KHatir-e-afsurda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.