hai kaThin rah to gir gir ke sambhaalna hoga
hai kaThin raah to gir gir ke sambhālnā hogā
apnī manzil kī taraf dauḌ ke chalnā hogā
apne ḳhvāboñ ko haqīqat meñ badalne ke liye
ḳhvāb-e-ġhaflat se kisī taur nikalnā hogā
tez āñdhī meñ jalānā hai agar apnā charāġh
ruḳh havāoñ kā ba-har-hāl badalnā hogā
ban ke ulfat kī ghaTā tum yahāñ barso varna
aag nafrat kī jo bhaḌkegī to jalnā hogā
chup rahoge to na mil pā.egā insāf kabhī
us ko paane ke liye tum ko machalnā hogā
zindagī maañg rahī hai jo umañgoñ kī dalīl
tum ko dariyā kī tarah phir se ubalnā hogā
tum jo chāho ki ujālā ho tire dam se 'munīb'
ban ke ek sham.a yahāñ tujh ko pighalnā hogā
hai kaThin rah to gir gir ke sambhaalna hoga
apni manzil ki taraf dauD ke chalna hoga
apne KHwabon ko haqiqat mein badalne ke liye
KHwab-e-ghaflat se kisi taur nikalna hoga
tez aandhi mein jalana hai agar apna charagh
ruKH hawaon ka ba-har-haal badalna hoga
ban ke ulfat ki ghaTa tum yahan barso warna
aag nafrat ki jo bhaDkegi to jalna hoga
chup rahoge to na mil paega insaf kabhi
us ko pane ke liye tum ko machalna hoga
zindagi mang rahi hai jo umangon ki dalil
tum ko dariya ki tarah phir se ubalna hoga
tum jo chaho ki ujala ho tere dam se 'munib'
ban ke ek shama yahan tujh ko pighalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.