hai kaun jis se ki wada KHata nahin hota
hai kaun jis se ki vaada ḳhatā nahīñ hotā
magar kisī kā irāda ḳhatā nahīñ hotā
jahāñ bisāt pe ghir jaa.e shaah narġhe meñ
vahāñ kabhī bhī piyāda ḳhatā nahīñ hotā
vo dushmanoñ meñ agar ho to bach bhī jā.ūñ maiñ
usī kā vaar mabādā ḳhatā nahīñ hotā
jo sar bache bhī to dastār bach nahīñ saktī
nishāna us kā ziyāda ḳhatā nahīñ hotā
kisī kī gard-e-safar baiThte bhī dekheñge
hamārī nazroñ se jaada ḳhatā nahīñ hotā
haiñ tajrabe mire ehsānmand lafzoñ ke
ho shakl yā ki labāda ḳhatā nahīñ hotā
hai kaun jis se ki wada KHata nahin hota
magar kisi ka irada KHata nahin hota
jahan bisat pe ghir jae shah narghe mein
wahan kabhi bhi piyaada KHata nahin hota
wo dushmanon mein agar ho to bach bhi jaun main
usi ka war mabaada KHata nahin hota
jo sar bache bhi to dastar bach nahin sakti
nishana us ka ziyaada KHata nahin hota
kisi ki gard-e-safar baiThte bhi dekhenge
hamari nazron se jada KHata nahin hota
hain tajrabe mere ehsanmand lafzon ke
ho shakl ya ki labaada KHata nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.