hai khel jari azal se ye auj-o-pasti ka
hai khel jaarī azal se ye auj-o-pastī kā
uruuj jis kā kabhī thā zavāl hai us kā
banā.ī us ke tasavvur meñ hai na.ī tasvīr
hai shāhkār mirā par ḳhayāl hai us kā
kahā thā us ne na jī pā.egā mujhe kho kar
vo jī rahā hai to ye bhī kamāl hai us kā
ḳhumār us kī mohabbat kā yuuñ vajūd meñ hai
ki aks meñ mire shāmil jamāl hai us kā
javāb de diyā us ne savāl kā mere
magar javāb meñ phir ik savāl hai us kā
kuchh is tarah se vo sheroñ pe daad detā hai
ki goyā zauq-e-suḳhan be-misāl hai us kā
'sabīha' yūsuf-e-sānī to vo nahīñ lekin
mirī nazar meñ samāyā jamāl hai us kā
hai khel jari azal se ye auj-o-pasti ka
uruj jis ka kabhi tha zawal hai us ka
banai us ke tasawwur mein hai nai taswir
hai shahkar mera par KHayal hai us ka
kaha tha us ne na ji paega mujhe kho kar
wo ji raha hai to ye bhi kamal hai us ka
KHumar us ki mohabbat ka yun wajud mein hai
ki aks mein mere shamil jamal hai us ka
jawab de diya us ne sawal ka mere
magar jawab mein phir ek sawal hai us ka
kuchh is tarah se wo sheron pe dad deta hai
ki goya zauq-e-suKHan be-misal hai us ka
'sabiha' yusuf-e-sani to wo nahin lekin
meri nazar mein samaya jamal hai us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.