hai kushada zamin nikal jaen
hai kushāda zamīñ nikal jaa.eñ
ḳhud ko DhūñDeñ kahīñ nikal jaa.eñ
ik na ik din khañDar ho jaatā hai
jis makāñ se makīñ nikal jaa.eñ
yā to siine se dil nikal jaa.e
yā to dil se hasīñ nikal jaa.eñ
ik guzārish hai mehrbānoñ se
chhoḌ deñ āstīñ nikal jaa.eñ
yā to dil dho ke aa.eñ ka.abe meñ
yā to sab zā.erīñ nikal jaa.eñ
ham mirī jaan aap ke dil se
itnā āsāñ nahīñ nikal jaa.eñ
būḌhe vālid se naujavāñ beTā
kah rahā thā kahīñ nikal jaa.eñ
terī āñkhoñ ke 'faiz' motī haiñ
ham ki aañsū nahīñ nikal jaa.eñ
hai kushada zamin nikal jaen
KHud ko DhunDen kahin nikal jaen
ek na ek din khanDar ho jata hai
jis makan se makin nikal jaen
ya to sine se dil nikal jae
ya to dil se hasin nikal jaen
ek guzarish hai mehrbanon se
chhoD den aastin nikal jaen
ya to dil dho ke aaen kabe mein
ya to sab zaerin nikal jaen
hum meri jaan aap ke dil se
itna aasan nahin nikal jaen
buDhe walid se naujawan beTa
kah raha tha kahin nikal jaen
teri aankhon ke 'faiz' moti hain
hum ki aansu nahin nikal jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.