hai kya maza junun mein diwana ban ke dekho
hai kya maza junun mein diwana ban ke dekho
Mazharul Qayyum Mazhar
MORE BYMazharul Qayyum Mazhar
hai kyā maza junūñ meñ dīvāna ban ke dekho
jalne meñ lutf kyā hai parvāna ban ke dekho
zāhid burā na maano do-chār jaam pī lo
mastī meñ kyā maza hai mastāna ban ke dekho
gumnāmiyoñ meñ guzrī umr-e-azīz saarī
mahfil meñ aa ke baiTho afsāna ban ke dekho
chhoḌo bhī jam ke qisse maazī se kyā ho chimTe
ai jām-e-jam hamārā paimāna ban ke dekho
zulmat-kada tumhārā ai dil hai suunā suunā
ik sham-e-anjuman kā kāshāna ban ke dekho
shādābiyoñ se apnī ai gulsitāñ milā kyā
ab ke bahār meñ tum vīrāna ban ke dekho
duniyā ko dekh Daale tum dost ban ke barsoñ
ab chand roz 'maz.har' begāna ban ke dekho
hai kya maza junun mein diwana ban ke dekho
jalne mein lutf kya hai parwana ban ke dekho
zahid bura na mano do-chaar jam pi lo
masti mein kya maza hai mastana ban ke dekho
gumnamiyon mein guzri umr-e-aziz sari
mahfil mein aa ke baiTho afsana ban ke dekho
chhoDo bhi jam ke qisse mazi se kya ho chimTe
ai jam-e-jam hamara paimana ban ke dekho
zulmat-kada tumhaara ai dil hai suna suna
ek sham-e-anjuman ka kashana ban ke dekho
shadabiyon se apni ai gulsitan mila kya
ab ke bahaar mein tum virana ban ke dekho
duniya ko dekh Dale tum dost ban ke barson
ab chand roz 'mazhar' begana ban ke dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.