hai mukammal unhi se zat meri
hai mukammal unhī se zaat mirī
mere bachche haiñ kā.enāt mirī
maiñ bas insāniyat kā qaa.il huuñ
pūchhte kyā ho zāt-pāt mirī
ziist jiinā muhāl kar degī
yaad aa.egī baat baat mirī
us ne bhī merā haath chhoḌ diyā
jis ke hāthoñ meñ thī hayāt mirī
us ne bas muskurā ke dekhā thā
khil uThī saarī kā.enāt mirī
kis qadar be-misāl sapnā thā
chain se kaT ga.ī hai raat mirī
tere lahje se hausla pā kar
gungunāne lagī hayāt mirī
jiit kar bhī vo ro diyā 'anvar'
us se dekhī ga.ī na maat mirī
hai mukammal unhi se zat meri
mere bachche hain kaenat meri
main bas insaniyat ka qail hun
puchhte kya ho zat-pat meri
zist jina muhaal kar degi
yaad aaegi baat baat meri
us ne bhi mera hath chhoD diya
jis ke hathon mein thi hayat meri
us ne bas muskura ke dekha tha
khil uThi sari kaenat meri
kis qadar be-misal sapna tha
chain se kaT gai hai raat meri
tere lahje se hausla pa kar
gungunane lagi hayat meri
jit kar bhi wo ro diya 'anwar'
us se dekhi gai na mat meri
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.