Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai

Asim Wasti

hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    hai mustaqil yahī ehsās kuchh kamī hai

    talāsh meñ hai nazar dil meñ bekalī hai

    kisī bhī kaam meñ lagtā nahīñ hai dil merā

    baḌe dinoñ se tabī.at bujhī bujhī hai

    baḌī ajiib udāsī hai muskurātā huuñ

    jo aaj kal mirī hālat hai shā.irī hai

    guzar rahe haiñ shab o roz be-sabab mere

    ye zindagī to nahīñ sirf zindagī hai

    thakī to ek mohabbat ne muuñd āñkheñ

    har ek niind se ab merī dushmanī hai

    tire baġhair kahāñ hai sukūn kyā ārām

    kahīñ rahūñ mirī taklīf begharī hai

    nahīñ vo sham-e-mohabbat rahī to phir 'āsim'

    ye kis duā se mire ghar meñ raushnī hai

    hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai

    talash mein hai nazar dil mein bekali si hai

    kisi bhi kaam mein lagta nahin hai dil mera

    baDe dinon se tabiat bujhi bujhi si hai

    baDi ajib udasi hai muskuraata hun

    jo aaj kal meri haalat hai shairi si hai

    guzar rahe hain shab o roz be-sabab mere

    ye zindagi to nahin sirf zindagi si hai

    thaki to ek mohabbat ne mund li aankhen

    har ek nind se ab meri dushmani si hai

    tere baghair kahan hai sukun kya aaram

    kahin rahun meri taklif beghari si hai

    nahin wo sham-e-mohabbat rahi to phir 'asim'

    ye kis dua se mere ghar mein raushni si hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now