hai qatl-gah-e-sauq mein KHanjar hama-tan-chashm
hai qatl-gah-e-sauq meñ ḳhanjar hama-tan-chashm
manzar hama-tan-gul gul-e-manzar hama-tan-chashm
hai kaun jo āshufta-mizājī kī rakhe laaj
us ku-e-malāmat ke haiñ patthar hama-tan-chashm
kab aa.egā insāf kā din dāvar-e-mahshar
ik umr se maiñ huuñ sar-e-mahshar hama-tan-chashm
ye sub.h to vo sub.h nahīñ jis kī talab meñ
taare sar-e-mizhgāñ rahe shab bhar hama-tan-chashm
ai jān-e-ġhazal tū hai kahāñ tere liye hai
'ḳhāvar' hama-tan-dil dil-e-'ḳhāvar' hama-tan-chashm
hai qatl-gah-e-sauq mein KHanjar hama-tan-chashm
manzar hama-tan-gul gul-e-manzar hama-tan-chashm
hai kaun jo aashufta-mizaji ki rakhe laj
us ku-e-malamat ke hain patthar hama-tan-chashm
kab aaega insaf ka din dawar-e-mahshar
ek umr se main hun sar-e-mahshar hama-tan-chashm
ye subh to wo subh nahin jis ki talab mein
tare sar-e-mizhgan rahe shab bhar hama-tan-chashm
ai jaan-e-ghazal tu hai kahan tere liye hai
'KHawar' hama-tan-dil dil-e-'KHawar' hama-tan-chashm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.