hai rashk kyon ye hum ko sar-e-dar dekh kar
hai rashk kyon ye hum ko sar-e-dar dekh kar
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
hai rashk kyoñ ye ham ko sar-e-dār dekh kar
dene haiñ baada zarf-e-qadah-ḳhvār dekh kar
ḳhud-karda-e-azal se tajallī-e-tūr ke
jhapke kī aañkh kyā tirī talvār dekh kar
āsāñ-pasandiyoñ se haiñ bezār ahl-e-ishq
chhāñTā ye marhala bhī hai dushvār dekh kar
ban jā.egā ye rishta-e-tasbīh ek din
dhokā na khā.iyo kahīñ zunnār dekh kar
is shān-e-imtiyāz ko ki ahal-e-tahā.if
momin samajh rahe haiñ hameñ ḳhvār dekh kar
jins-e-girāñ to thī nahīñ koī magar ye jaan
laa.e haiñ ham bhī raunaq-e-bāzār dekh kar
tīr-e-nigah ne kar diyā donoñ kā faisla
bāham dil-o-jigar meñ ye takrār dekh kar
ye kyā ki sajda-gāh hai har sañg-e-āstāñ
ghisnā jabīn ko ko ḳhāna-e-ḳhammār dekh kar
kuchh bhī to zabt-e-girya na shabnam se ho sakā
bulbul ko fasl-e-gul meñ giraftār dekh kar
ham ḳhāsgān-e-ahl-e-nazar aur ye qatl-e-ām
jaur-o-sitam bhī kar tū sitamgār dekh kar
har siina aaj hai tire paikāñ kā muntazir
ho intiḳhāb ai nigah-e-yār dekh kar
hai rashk kyon ye hum ko sar-e-dar dekh kar
dene hain baada zarf-e-qadah-KHwar dekh kar
KHud-karda-e-azal se tajalli-e-tur ke
jhapke ki aankh kya teri talwar dekh kar
aasan-pasandiyon se hain bezar ahl-e-ishq
chhanTa ye marhala bhi hai dushwar dekh kar
ban jaega ye rishta-e-tasbih ek din
dhoka na khaiyo kahin zunnar dekh kar
is shan-e-imtiyaz ko ki ahal-e-tahaif
momin samajh rahe hain hamein KHwar dekh kar
jins-e-giran to thi nahin koi magar ye jaan
lae hain hum bhi raunaq-e-bazar dekh kar
tir-e-nigah ne kar diya donon ka faisla
baham dil-o-jigar mein ye takrar dekh kar
ye kya ki sajda-gah hai har sang-e-astan
ghisna jabin ko ko KHana-e-KHammar dekh kar
kuchh bhi to zabt-e-girya na shabnam se ho saka
bulbul ko fasl-e-gul mein giraftar dekh kar
hum KHasgan-e-ahl-e-nazar aur ye qatl-e-am
jaur-o-sitam bhi kar tu sitamgar dekh kar
har sina aaj hai tere paikan ka muntazir
ho intiKHab ai nigah-e-yar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.