hai sach to ye ki mohabbat ka haq ada na hua
hai sach to ye ki mohabbat kā haq adā na huā
sitam to tark-e-mohabbat kā ik bahāna huā
nikalte haiñ tire kūche se ab bhī jaañ kī tarah
agarche qat-e-ta.alluq kiye zamāna huā
kabhī to yuuñ thā ki imkāñ hī kyā judā.ī kā
aur ab lage ki ta.āruf bhī ġhā.ebāna huā
hujūm-e-yād mulāqāt-e-muḳhtasar kā samar
har ek lamha mah-o-sāl kā ḳhazāna huā
kisī ko ham sā kahāñ dard sabza-o-gul kā
ki is chaman meñ hamārā to āshiyāna huā
hai sach to ye ki mohabbat ka haq ada na hua
sitam to tark-e-mohabbat ka ek bahana hua
nikalte hain tere kuche se ab bhi jaan ki tarah
agarche qat-e-talluq kiye zamana hua
kabhi to yun tha ki imkan hi kya judai ka
aur ab lage ki taaruf bhi ghaebana hua
hujum-e-yaad mulaqat-e-muKHtasar ka samar
har ek lamha mah-o-sal ka KHazana hua
kisi ko hum sa kahan dard sabza-o-gul ka
ki is chaman mein hamara to aashiyana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.