hai shakl teri gulab jaisi
hai shakl terī gulāb jaisī
nazar hai terī sharāb jaisī
havā sahar kī hai in dinoñ meñ
badalte mausam ke ḳhvāb jaisī
sadā hai ik dūriyoñ meñ ojhal
mirī sadā ke javāb jaisī
vo din thā dozaḳh kī aag jaisā
vo raat gahre azaab jaisī
ye shahr lagtā hai dasht jaisā
chamak hai us kī sarāb jaisī
'munīr' terī ġhazal ajab hai
kisī safar kī kitāb jaisī
hai shakl teri gulab jaisi
nazar hai teri sharab jaisi
hawa sahar ki hai in dinon mein
badalte mausam ke KHwab jaisi
sada hai ek duriyon mein ojhal
meri sada ke jawab jaisi
wo din tha dozaKH ki aag jaisa
wo raat gahre azab jaisi
ye shahr lagta hai dasht jaisa
chamak hai us ki sarab jaisi
'munir' teri ghazal ajab hai
kisi safar ki kitab jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.