hai shikayat dil ko aisa kyon nahin
hai shikāyat dil ko aisā kyoñ nahīñ
jab tū merā hai to lagtā kyoñ nahīñ
jab nazar se mil nahīñ paatī nazar
ḳhvāb se bāhar nikaltā kyoñ nahīñ
lag rahī hai kyoñ thamī duniyā mujhe
tū bhī mausam sā badaltā kyoñ nahīñ
hai zabāñ chup aur dhaḌkan tez hai
tū ishāroñ ko samajhtā kyoñ nahīñ
jism ThanDā paḌ gayā 'santosh' kā
aag apnī us ko detā kyoñ nahīñ
hai shikayat dil ko aisa kyon nahin
jab tu mera hai to lagta kyon nahin
jab nazar se mil nahin pati nazar
KHwab se bahar nikalta kyon nahin
lag rahi hai kyon thami duniya mujhe
tu bhi mausam sa badalta kyon nahin
hai zaban chup aur dhaDkan tez hai
tu ishaaron ko samajhta kyon nahin
jism ThanDa paD gaya 'santosh' ka
aag apni us ko deta kyon nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.