hai sina chaak har gul-e-KHandan mere liye
hai siina chaak har gul-e-ḳhandāñ mire liye
shāyad hai sogvār bahārāñ mire liye
qatre ko de ke aab mere dil ko ehtiyāj
kyā kyā uThā.e jaate haiñ tūfāñ mire liye
kal vo suneñge ziist kī kaifiyyatoñ kā zikr
rakhā gayā hai dard kā 'unvāñ mire liye
mub.ham sā vā'da aane kā phir qaid-e-intizār
ghar ko banā diyā gayā zindāñ mire liye
shāḳhoñ pe gul falak pe sitāroñ kā ehtimām
har baam se haiñ jalve numāyāñ mire liye
miltī hai ik murād to baḌhtā hai ek shauq
dām-e-balā se vus.at-e-dāmāñ mire liye
hai sina chaak har gul-e-KHandan mere liye
shayad hai sogwar bahaaran mere liye
qatre ko de ke aab mere dil ko ehtiyaj
kya kya uThae jate hain tufan mere liye
kal wo sunenge zist ki kaifiyyaton ka zikr
rakha gaya hai dard ka 'unwan mere liye
mubham sa wa'da aane ka phir qaid-e-intizar
ghar ko bana diya gaya zindan mere liye
shaKHon pe gul falak pe sitaron ka ehtimam
har baam se hain jalwe numayan mere liye
milti hai ek murad to baDhta hai ek shauq
dam-e-bala se wusat-e-daman mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.