hai tasawwur mujhe har dam teri yaktai ka
hai tasavvur mujhe har dam tirī yaktā.ī kā
mashġhala aaTh pahar hai yahī tanhā.ī kā
ishq meñ rashk hamesha se chalā aatā hai
dekho qābīl ne kyā haal kiyā bhaa.ī kā
jām-e-sā.il kī tarah haiñ mirī āñkheñ dar dar
jab se āshiq kisī kāfir-e-shaidā.ī kā
ishq-e-kāmil jo huā nañg kahāñ aar kahāñ
dhyān badmast ko rahtā nahīñ rusvā.ī kā
hijr meñ gardish-e-behūda jo hai ai saaqī
jaam kyā kāsa-e-sar hai kisī saudā.ī kā
merī āñkhoñ ne tujhe dekh ke vo kuchh dekhā
ki zabān-e-mizha par shikva hai bīnā.ī kā
qadam aġhyār kā rakhnā ho gavārā kyuuñ kar
tere dar par hai mujhe shaġhl jabīñ-sā.ī kā
mujh se rahtā hai ramīda vo ġhazāl-e-shahrī
saaf sīkhā hai chalan āhū-e-sahrā.ī kā
hijr meñ chaTke jo ġhunche huī āvāz tufañg
sehn-e-gulzār hai maidān-e-saf-ārā.ī kā
jis ne dekhā tujhe ai yaar huā dīvāna
hai tamāshā tire har ek tamāshā.ī kā
sabza rañgoñ kā ye hai ḳhaak muqarrar 'nāsiḳh'
sabz rañg is liye aatā hai nazar kaa.ī kā
hai tasawwur mujhe har dam teri yaktai ka
mashghala aaTh pahar hai yahi tanhai ka
ishq mein rashk hamesha se chala aata hai
dekho qabil ne kya haal kiya bhai ka
jam-e-sail ki tarah hain meri aankhen dar dar
jab se aashiq kisi kafir-e-shaidai ka
ishq-e-kaamil jo hua nang kahan aar kahan
dhyan badmast ko rahta nahin ruswai ka
hijr mein gardish-e-behuda jo hai ai saqi
jam kya kasa-e-sar hai kisi saudai ka
meri aankhon ne tujhe dekh ke wo kuchh dekha
ki zaban-e-mizha par shikwa hai binai ka
qadam aghyar ka rakhna ho gawara kyun kar
tere dar par hai mujhe shaghl jabin-sai ka
mujh se rahta hai ramida wo ghazal-e-shahri
saf sikha hai chalan aahu-e-sahrai ka
hijr mein chaTke jo ghunche hui aawaz tufang
sehn-e-gulzar hai maidan-e-saf-arai ka
jis ne dekha tujhe ai yar hua diwana
hai tamasha tere har ek tamashai ka
sabza rangon ka ye hai KHak muqarrar 'nasiKH'
sabz rang is liye aata hai nazar kai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.