hai Tonk arz-e-pak wahin se uThenge hum
hai Toñk arz-e-pāk vahīñ se uTheñge ham
uTThī jahāñ se ḳhaak vahīñ se uTheñge ham
dīvār-e-mai-kada ke udhar salsabīl hai
farzandagān-e-tāk vahīñ se uTheñge ham
muddat se band hai jo darīcha bahār kā
ai kunj-e-nā-tapāk vahīñ se uTheñge ham
pairāhan-e-falak pe jahāñ ḳhatt-e-nūr hai
dāman hai vaañ se chaak vahīñ se uTheñge ham
ham ne vahīñ pe chāñd ko dekhā hai multafit
vo ghar hai tābnāk vahīñ se uTheñge ham
is ḳhaak hī ne ḳhaak ko paalā hai umr bhar
paayā jahāñ se kaak vahīñ se uTheñge ham
'arshad' ham apne shahr se aa to ga.e magar
apnī vahīñ hai dhaak vahīñ se uTheñge ham
hai Tonk arz-e-pak wahin se uThenge hum
uTThi jahan se KHak wahin se uThenge hum
diwar-e-mai-kada ke udhar salsabil hai
farzandagan-e-tak wahin se uThenge hum
muddat se band hai jo daricha bahaar ka
ai kunj-e-na-tapak wahin se uThenge hum
pairahan-e-falak pe jahan KHatt-e-nur hai
daman hai wan se chaak wahin se uThenge hum
hum ne wahin pe chand ko dekha hai multafit
wo ghar hai tabnak wahin se uThenge hum
is KHak hi ne KHak ko pala hai umr bhar
paya jahan se kak wahin se uThenge hum
'arshad' hum apne shahr se aa to gae magar
apni wahin hai dhak wahin se uThenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.