hai turfa tamasha sar-e-bazar-e-mohabbat
hai turfa tamāsha sar-e-bāzār-e-mohabbat
sar bechte phirte haiñ ḳharīdār-e-mohabbat
allāh kare tū bhī ho bīmār-e-mohabbat
sadqe meñ chhuTeñ tere giraftār-e-mohabbat
is vāste dete haiñ vo har roz nayā daaġh
ik dard ke ḳhūgar na hoñ bīmār-e-mohabbat
kuchh tazkira-e-ishq rahe hazrat-e-nāseh
kānoñ ko maza detī hai guftār-e-mohabbat
vaa.iz kī zabāñ par to vo kalima hai ki goyā
baḳhshe hī na jā.eñge gunahgār-e-mohabbat
dekhā hai zamāne ko in āñkhoñ ne to ai 'dāġh'
is rang par is Dhang par inkār-e-mohabbat
hai turfa tamasha sar-e-bazar-e-mohabbat
sar bechte phirte hain KHaridar-e-mohabbat
allah kare tu bhi ho bimar-e-mohabbat
sadqe mein chhuTen tere giraftar-e-mohabbat
is waste dete hain wo har roz naya dagh
ek dard ke KHugar na hon bimar-e-mohabbat
kuchh tazkira-e-ishq rahe hazrat-e-naseh
kanon ko maza deti hai guftar-e-mohabbat
waiz ki zaban par to wo kalima hai ki goya
baKHshe hi na jaenge gunahgar-e-mohabbat
dekha hai zamane ko in aankhon ne to ai 'dagh'
is rang par is Dhang par inkar-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.