hai udasi ka murtakib koi
hai udāsī kā murtakib koī
mujh meñ rahtā hai muztarib koī
chāñd bhī raushnī nahīñ detā
jab se rūThā hai be-sabab koī
apne mauqif kī baat kartā hai
mujh se miltā hai aa ke jab koī
maiñ to suntī nahīñ huuñ apnī bhī
yahāñ hotā hai apnā kab koī
kījiye ġham se aap hī parda
kah rahā hai ye muhtajib koī
hai udasi ka murtakib koi
mujh mein rahta hai muztarib koi
chand bhi raushni nahin deta
jab se ruTha hai be-sabab koi
apne mauqif ki baat karta hai
mujh se milta hai aa ke jab koi
main to sunti nahin hun apni bhi
yahan hota hai apna kab koi
kijiye gham se aap hi parda
kah raha hai ye muhtajib koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.