hai un ka wasl gauhar-e-nayab ki tarah
hai un kā vasl gauhar-e-nāyāb kī tarah
ho jaa.e hai vo iid ke mahtāb kī tarah
ai shauq-e-ishq ḳhair ho tere shabāb kī
ham ko kiye ho māhī-e-be-āb kī tarah
lillāh yuuñ na dekhiye tirchhī nigāh se
Dar hai bikhar na jā.ūñ maiñ sīmāb kī tarah
dāvat pe merī aap jo aa.e haiñ shukriya
ḳhushiyoñ ke ashk bahte haiñ sailāb kī tarah
is dil ke dasht-e-kūcha-e-vīrāñ meñ rāt-din
bhaTkā kare haiñ hasrateñ eraab kī tarah
'nirdosh' apnī zindagī hai sāz-e-ġham kā taar
aur chheḌe un kī be-ruḳhī mizrāb kī tarah
hai un ka wasl gauhar-e-nayab ki tarah
ho jae hai wo id ke mahtab ki tarah
ai shauq-e-ishq KHair ho tere shabab ki
hum ko kiye ho mahi-e-be-ab ki tarah
lillah yun na dekhiye tirchhi nigah se
Dar hai bikhar na jaun main simab ki tarah
dawat pe meri aap jo aae hain shukriya
KHushiyon ke ashk bahte hain sailab ki tarah
is dil ke dasht-e-kucha-e-viran mein raat-din
bhaTka kare hain hasraten erab ki tarah
'nirdosh' apni zindagi hai saz-e-gham ka tar
aur chheDe un ki be-ruKHi mizrab ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.