hai wahi daur-e-sitam mashq-e-sitam aaj bhi hai
hai vahī daur-e-sitam mashq-e-sitam aaj bhī hai
log zinda haiñ magar ziist kā ġham aaj bhī hai
kis ko fursat hai ki mazlūm ke aañsū poñchhe
vahī aañsū haiñ vahī dāman-e-nam aaj bhī hai
meherbāñ kahiye use yā ki sitamgar kahiye
har sitam us kā ba-andāz-e-karam aaj bhī hai
ḳhūn-e-mazlūm kī tārīḳh likhī hai jis se
haath meñ mere vo bebāk qalam aaj bhī hai
jaise milne hī ko hai sāya-e-dāmāñ terā
nā-umīdī meñ bhī ummīd-e-karam aaj bhī hai
ab bhī manzil pe pahuñchnā nahīñ āsān 'payām'
rahguzāroñ meñ vahī pech vo ḳham aaj bhī hai
hai wahi daur-e-sitam mashq-e-sitam aaj bhi hai
log zinda hain magar zist ka gham aaj bhi hai
kis ko fursat hai ki mazlum ke aansu ponchhe
wahi aansu hain wahi daman-e-nam aaj bhi hai
meherban kahiye use ya ki sitamgar kahiye
har sitam us ka ba-andaz-e-karam aaj bhi hai
KHun-e-mazlum ki tariKH likhi hai jis se
hath mein mere wo bebak qalam aaj bhi hai
jaise milne hi ko hai saya-e-daman tera
na-umidi mein bhi ummid-e-karam aaj bhi hai
ab bhi manzil pe pahunchna nahin aasan 'payam'
rahguzaron mein wahi pech wo KHam aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.