hai zulf-e-shab ki tamanna tere shabab ka rang
hai zulf-e-shab kī tamanna tire shabāb kā rang
jo dekh le to badal jaa.e māhtāb kā rang
tirī nigāh kī ye kaif-bāriyāñ tauba
bharā huā tirī āñkhoñ meñ hai sharāb kā rang
ayaañ huā hai mohabbat kī dāstāñ ban kar
kisī ke chehra-e-pur-nūr par hijāb kā rang
hai un kī chasm-e-tajāhul kī kār-farmā.ī
badal gayā jo mirī ziist kī kitāb kā rang
dil-e-hazīñ pe na pūchho guzar ga.ī kyā kyā
nigāh-e-husn meñ dekhā jo ijtināb kā rang
ye rang-o-bū-e-chaman aarzī haiñ yuuñ 'ahmad'
ki sat.h-e-āb pe jis tarah ik habāb kā rang
hai zulf-e-shab ki tamanna tere shabab ka rang
jo dekh le to badal jae mahtab ka rang
teri nigah ki ye kaif-bariyan tauba
bhara hua teri aankhon mein hai sharab ka rang
ayan hua hai mohabbat ki dastan ban kar
kisi ke chehra-e-pur-nur par hijab ka rang
hai un ki chasm-e-tajahul ki kar-farmai
badal gaya jo meri zist ki kitab ka rang
dil-e-hazin pe na puchho guzar gai kya kya
nigah-e-husn mein dekha jo ijtinab ka rang
ye rang-o-bu-e-chaman aarzi hain yun 'ahmad'
ki sath-e-ab pe jis tarah ek habab ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.