Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hain des-bides ek guzar aur basar mein

Arzoo Lakhnavi

hain des-bides ek guzar aur basar mein

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    haiñ des-bides ek guzar aur basar meñ

    be-ās ko kab chain milā hai kisī ghar meñ

    chup maiñ ne lagā.ī to huā us bhī charchā

    jo bhed na khultā ho vo khul jaatā hai Dar meñ

    sūraj ghamanD aur nahīñ taare ke barābar

    aisī to bāteñ haiñ is andher-nagar meñ

    vo Tal nahīñ saktī jo pahuñchne ghaḌī hai

    chaltā rahe galiyoñ meñ ki baiThā rahe ghar meñ

    huuk uTThī idhar meñ udhar kuuk uThī koyal

    pūchhe koī to kaun idhar meñ na udhar meñ

    ai 'ārzū' āñkhoñ meñ kaT jaate haiñ din-rāt

    koī bhī ghaḌī chain hai āTh-pahr meñ

    hain des-bides ek guzar aur basar mein

    be-as ko kab chain mila hai kisi ghar mein

    chup main ne lagai to hua us ka bhi charcha

    jo bhed na khulta ho wo khul jata hai Dar mein

    suraj ka ghamanD aur nahin tare ke barabar

    aisi hi to baaten hain is andher-nagar mein

    wo Tal nahin sakti jo pahunchne ki ghaDi hai

    chalta rahe galiyon mein ki baiTha rahe ghar mein

    huk uTThi idhar ji mein udhar kuk uThi koyal

    puchhe koi to kaun idhar mein na udhar mein

    ai 'arzu' aankhon hi mein kaT jate hain din-raat

    koi bhi ghaDi chain ki hai aaTh-pahr mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now