Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

Imtiyaz Saghar

hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

Imtiyaz Saghar

MORE BYImtiyaz Saghar

    haiñ ghar muhāfiz mirī dahkī huī āñkheñ

    maiñ taaq meñ rakh aayā huuñ jaltī huī āñkheñ

    ik pal bhī kisī moḌ pe rukne nahīñ detīñ

    kāñToñ tarah jism meñ chubhtī huī āñkheñ

    raste meñ qadam phūñk ke rakhnā mere pyāro

    haiñ chāroñ taraf shahr meñ bikhrī huī āñkheñ

    yuuñ us ke bichhaḌ jaane pe aañsū na bahāo

    manzar ko taras jā.eñgī bhīgī huī āñkheñ

    qātil ke sivā koī samajh nahīñ saktā

    kyā dekhtī haiñ tasht meñ rakkhī huī āñkheñ

    kyā jāniye kis ḳhvāb ta.abīr meñ gum haiñ

    zulfoñ ghanī chhāñv meñ uljhī huī āñkheñ

    'sāġhar' shab-e-tīra meñ ujāloñ amiiñ haiñ

    nafrat ke samundar meñ ye bahtī huī āñkheñ

    hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

    main taq mein rakh aaya hun jalti hui aankhen

    ek pal bhi kisi moD pe rukne nahin detin

    kanTon ki tarah jism mein chubhti hui aankhen

    raste mein qadam phunk ke rakhna mere pyaro

    hain chaaron taraf shahr mein bikhri hui aankhen

    yun us ke bichhaD jaane pe aansu na bahao

    manzar ko taras jaengi bhigi hui aankhen

    qatil ke siwa koi samajh hi nahin sakta

    kya dekhti hain tasht mein rakkhi hui aankhen

    kya jaaniye kis KHwab ki tabir mein gum hain

    zulfon ki ghani chhanw mein uljhi hui aankhen

    'saghar' shab-e-tira mein ujalon ki amin hain

    nafrat ke samundar mein ye bahti hui aankhen

    Source :
    • Book : Nai Pakistani Ghazal Naye Dastakhat (Pg. 22)
    • Author : Nishat Shahid
    • Publication : Miaar Publications K 20 C Shaikh Saraye Phase2 New Delhi (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now