hain kachchi basti ke log sada magar wahan ke makin tauba
hain kachchi basti ke log sada magar wahan ke makin tauba
Asad Raza Sahar
MORE BYAsad Raza Sahar
haiñ kachchī bastī ke log saada magar vahāñ ke makīn tauba
adam-tavajjoh kī bheñT chaḌh ke gharoñ meñ baiThe hasīn tauba
vo jis kī ḳhātir tamām bhaa.ī nishān-e-ibrat bane hue haiñ
paḌī hai vaise kī vaise dekho vahāñ pe saarī zamīn tauba
girā ke ka.aba-e-dīn karbal ke dasht meñ be-hayā kahīñ ke
vo dekho rūThe khaḌe haiñ in.aam ke liye sab la.iin tauba
sunā hai ab tak ye kaalā dhanda tirā vatīra banā rahā hai
na-jāne kaise chamak rahī hai ye terī sāhab jabīn tauba
guzarne lagtā huuñ jab bhī mujh ko ajab nigāhoñ se dekhte haiñ
tirī galī ke tamām baasī sharīr shātir zahīn tauba
jo ek din meñ ka.ī ka.ī baar jhuuT kā aasrā hai letā
maiñ us farebī pe kaise kar luuñ 'sahar' jī andhā yaqīn tauba
hain kachchi basti ke log sada magar wahan ke makin tauba
adam-tawajjoh ki bhenT chaDh ke gharon mein baiThe hasin tauba
wo jis ki KHatir tamam bhai nishan-e-ibrat bane hue hain
paDi hai waise ki waise dekho wahan pe sari zamin tauba
gira ke kaba-e-din karbal ke dasht mein be-haya kahin ke
wo dekho ruThe khaDe hain inam ke liye sab lain tauba
suna hai ab tak ye kala dhanda tera watira bana raha hai
na-jaane kaise chamak rahi hai ye teri sahab jabin tauba
guzarne lagta hun jab bhi mujh ko ajab nigahon se dekhte hain
teri gali ke tamam basi sharir shatir zahin tauba
jo ek din mein kai kai bar jhuT ka aasra hai leta
main us farebi pe kaise kar lun 'sahar' ji andha yaqin tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.