hain kaise kaise marahil guhar se aage bhi
haiñ kaise kaise marāhil guhar se aage bhī
ġhazal kuchh aur hai kār-e-hunar se aage bhī
ye sho.abde kā tajassus na ḳhatm hogā kabhī
jahān hogā jahān-e-digar se aage bhī
bhare julūs meñ golī se maarā jā.ūñgā
maiñ sochtā huuñ ḳhudā-e-bashar se aage bhī
ye ird-gard ke manzar mire shanāsā haiñ
guzar huā hai isī rahguzar se aage bhī
varā-e-chashm manāzir kī khoj jaarī rakh
nazar baḌhā zarā hadd-e-nazar se aage bhī
ik aur jism hai merī nazar meñ tujh sā hī
ik aur rañg hai rañg-e-sahar se aage bhī
aziyyateñ haiñ moharram ke ba.ad bhī kitnī
safar mazīd haiñ māh-e-safar se aage bhī
parā.ī aañkh kī putlī sahārā kyā detī
vahāñ ik aur bhañvar thā bhañvar se aage bhī
khule haiñ raaz ka.ī mere qatl ke mujh par
paḌhī hai maiñ ne kahānī ḳhabar se aage bhī
hain kaise kaise marahil guhar se aage bhi
ghazal kuchh aur hai kar-e-hunar se aage bhi
ye shoabde ka tajassus na KHatm hoga kabhi
jahan hoga jahan-e-digar se aage bhi
bhare julus mein goli se mara jaunga
main sochta hun KHuda-e-bashar se aage bhi
ye ird-gard ke manzar mere shanasa hain
guzar hua hai isi rahguzar se aage bhi
wara-e-chashm manazir ki khoj jari rakh
nazar baDha zara hadd-e-nazar se aage bhi
ek aur jism hai meri nazar mein tujh sa hi
ek aur rang hai rang-e-sahar se aage bhi
aziyyaten hain moharram ke baad bhi kitni
safar mazid hain mah-e-safar se aage bhi
parai aankh ki putli sahaara kya deti
wahan ek aur bhanwar tha bhanwar se aage bhi
khule hain raaz kai mere qatl ke mujh par
paDhi hai main ne kahani KHabar se aage bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.