hain mere zaKHm ki ranaiyan ajib-o-gharib
haiñ mere zaḳhm kī ra.anā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
ki us ko chāhiye gahrā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
ye kis kā zor hai mere charāġh kī lau par
banā rahā hai jo parchhā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
hamāre ḳhvāb kī galiyoñ se kaun guzrā hai
ki aa rahī haiñ ye añgḌā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
nazar utārtī hai vaqt vaqt par merī
milī hai maaoñ ko bīnā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
jalā.e merī hī cigarette mirī ayādat par
ye merā dost bhī hai kā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
hain mere zaKHm ki ranaiyan ajib-o-gharib
ki us ko chahiye gahraiyan ajib-o-gharib
ye kis ka zor hai mere charagh ki lau par
bana raha hai jo parchhaiyan ajib-o-gharib
hamare KHwab ki galiyon se kaun guzra hai
ki aa rahi hain ye angDaiyan ajib-o-gharib
nazar utarti hai waqt waqt par meri
mili hai maon ko binaiyan ajib-o-gharib
jalae meri hi cigarette meri ayaadat par
ye mera dost bhi hai kaiyan ajib-o-gharib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.