hain meri parwaz ke tewar nae
haiñ mirī parvāz ke tevar na.e
saath mere dekhiye manzar na.e
ik purāne mai-kade meñ tishnagī
DhūñDtī hai sāqī-o-sāġhar na.e
bachpane kā ghar na bhūlegā kabhī
chāhe jitne aap ke hoñ ghar na.e
kījiye har ilm se ārāsta
bachchiyoñ ke haiñ yahī zevar na.e
ik na.e fōtpath par mazdūr thā
muflisī ne jab diye bistar na.e
ab zarā ta.abīr bhī badle 'faroġh'
dekhtā huuñ ḳhvāb to aksar na.e
hain meri parwaz ke tewar nae
sath mere dekhiye manzar nae
ek purane mai-kade mein tishnagi
DhunDti hai saqi-o-saghar nae
bachpane ka ghar na bhulega kabhi
chahe jitne aap ke hon ghar nae
kijiye har ilm se aarasta
bachchiyon ke hain yahi zewar nae
ek nae footpath par mazdur tha
muflisi ne jab diye bistar nae
ab zara tabir bhi badle 'farogh'
dekhta hun KHwab to aksar nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.