hain muddaton se dekhne walon ke muntazir
haiñ muddatoñ se dekhne vāloñ ke muntazir
ehsās-e-be-panāh kī jāgīr aur ham
koshish na kaam aa.egī ye kis ne kah diyā
baiThe biThā.e maan leñ taqdīr aur ham
mumkin kahāñ koī nazar-andāz kar sake
bāham rahe haiñ shahr kī tauqīr aur ham
jā.eñge ek roz samundar kī god meñ
dariyā ke saath ret kī tahrīr aur ham
fursat kahāñ ki aur kahīñ dekhiye 'fahīm'
har saañs apnī ḳhaak kī ta.amīr aur ham
hain muddaton se dekhne walon ke muntazir
ehsas-e-be-panah ki jagir aur hum
koshish na kaam aaegi ye kis ne kah diya
baiThe biThae man len taqdir aur hum
mumkin kahan koi nazar-andaz kar sake
baham rahe hain shahr ki tauqir aur hum
jaenge ek roz samundar ki god mein
dariya ke sath ret ki tahrir aur hum
fursat kahan ki aur kahin dekhiye 'fahim'
har sans apni KHak ki tamir aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.