hain nikhat-e-gul bagh mein ai baad-e-saba hum
haiñ nik.hat-e-gul baaġh meñ ai bād-e-sabā ham
dam bhar meñ numūdār haiñ dam bhar meñ fanā ham
tashrīf to le aa.eñ vo rūThe raheñ ham se
jhagḌā to miTe sulh bhī ho jā.egī bāham
ham tere shanāsā haiñ hameñ ġhair se kyā kaam
āgāh kisī se bhī nahīñ tere sivā ham
pūchhā thā ye maiñ ne ki miTā.egā mujhe kaun
qismat abhī ḳhāmosh thī jo us ne kahā ham
vo kahte haiñ da.avā hai use hosh-o-ḳhirad kā
'beḳhud' ko pilā.eñge mai-e-hosh-rubā ham
hain nikhat-e-gul bagh mein ai baad-e-saba hum
dam bhar mein numudar hain dam bhar mein fana hum
tashrif to le aaen wo ruThe rahen hum se
jhagDa to miTe sulh bhi ho jaegi baham
hum tere shanasa hain hamein ghair se kya kaam
aagah kisi se bhi nahin tere siwa hum
puchha tha ye main ne ki miTaega mujhe kaun
qismat abhi KHamosh thi jo us ne kaha hum
wo kahte hain dawa hai use hosh-o-KHirad ka
'beKHud' ko pilaenge mai-e-hosh-ruba hum
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 169)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.