hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
haiñ saare inkishāf apne haiñ saare mumkināt apne
ham is duniyā kā saarā ilm le jā.eñge saat apne
chamak vaisī na māthe par damak vaisī na chehre par
sitāre kis ke ghar jaane luTā aa.ī hai raat apne
na hogī dilkashī duniyā meñ ik din vo bhī aa.egā
ki saare raaz ugal degī kisī din kā.enāt apne
nahīñ gar dekh saktī maut se laḌte hue mujh ko
to phir ai zindagī le jā tū saare iltifāt apne
khulā hai umr kī shām-e-hazīñ meñ raaz ye 'pāshī'
ki har dam maut ko bhī saath rakhtī hai hayāt apne
hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
hum is duniya ka sara ilm le jaenge sat apne
chamak waisi na mathe par damak waisi na chehre par
sitare kis ke ghar jaane luTa aai hai raat apne
na hogi dilkashi duniya mein ek din wo bhi aaega
ki sare raaz ugal degi kisi din kaenat apne
nahin gar dekh sakti maut se laDte hue mujh ko
to phir ai zindagi le ja tu sare iltifat apne
khula hai umr ki sham-e-hazin mein raaz ye 'pashi'
ki har dam maut ko bhi sath rakhti hai hayat apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.