hairan hain dekh teri surat ko yan talak hum
hairāñ haiñ dekh terī sūrat ko yaañ talak ham
tasvīr-sāñ ai pyāre maare nahīñ palak ham
hoñ bāryāb kyūñ-kar ḳhurshīd-rū talak ham
ai kaash us kī dekheñ jiyūñ zarra ik jhalak ham
ye fāl-e-ārzū hai aisā na biino dekho
dilbar ke phir bhī hoñge vābasta-e-alak ham
har haal meñ ġharaz 'ishq' dād-e-junūñ hai denī
sar phoḌte falak se hote agar malak ham
hairan hain dekh teri surat ko yan talak hum
taswir-san ai pyare mare nahin palak hum
hon baryab kyun-kar KHurshid-ru talak hum
ai kash us ki dekhen jiyun zarra ek jhalak hum
ye fal-e-arzu hai aisa na bino dekho
dilbar ke phir bhi honge wabasta-e-alak hum
har haal mein gharaz 'ishq' dad-e-junun hai deni
sar phoDte falak se hote agar malak hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.