hairan hun ki ye kaun sa dastur-e-wafa hai
Interesting Fact
Auraq, Lahore 1967
hairāñ huuñ ki ye kaun sā dastūr-e-vafā hai
tū misl-e-rag-e-jāñ hai to kyuuñ mujh se judā hai
tū ahl-e-nazar hai to nahīñ tujh ko ḳhabar kyuuñ
pahlū meñ tire koī zamāne se khaḌā hai
likkhā hai mirā naam samundar pe havā ne
aur donoñ kī fitrat meñ sukūñ hai na vafā hai
shikva nahīñ mujh ko ki huuñ mahrūm-e-tamannā
ġham hai to faqat itnā ki tū dekh rahā hai
maiñ shahr-o-bayābāñ meñ tujhe DhūñD chukā huuñ
be-dard to kis hujla-e-pinhāñ meñ chhupā hai
uThtī haiñ jo pahlū se mire dard kī lahreñ
betāb samundar koī siine meñ dabā hai
ai ziist ke dozaḳh se guzarte hue lamho
sochā hai kabhī tum ne ki jiinā bhī sazā hai
ham rakhte haiñ dā'vā ki hai qaabū hameñ dil par
tū sāmne aa jaa.e to ye baat judā hai
ḳhush-baḳht to vo hai jise tū apnā samajh le
kahne ke liye yuuñ to hamārā bhī ḳhudā hai
maiñ dozaḳh-e-jāñ meñ bhī rahā mahv-e-tag-o-tāz
yuuñ kahne ko is 'umr kā har lamha nayā hai
har mauj-e-havā tez fazā tā-ba-ufuq tañg
dil zarra-e-sahrā hai bagūloñ meñ ghirā hai
ai dasht-e-tamannā meñ bhaTakte hue aahū
tū kaun hai kis vaqt kī rah dekh rahā hai
kyuuñ jaage hue shahr meñ tanhā hai har ik shaḳhs
ye raushnī kaisī hai ki saaya bhī judā hai
kis dast-e-hinā-basta kā zevar hai vo ḳhanjar
ġham ban ke jo har shaḳhs ke siine meñ gaḌā hai
Thahrā.e use 'arsh' koī kaise jafā-kash
jo mujh se alag rah ke bhī hamrāh chalā hai
hairan hun ki ye kaun sa dastur-e-wafa hai
tu misl-e-rag-e-jaan hai to kyun mujh se juda hai
tu ahl-e-nazar hai to nahin tujh ko KHabar kyun
pahlu mein tere koi zamane se khaDa hai
likkha hai mera nam samundar pe hawa ne
aur donon ki fitrat mein sukun hai na wafa hai
shikwa nahin mujh ko ki hun mahrum-e-tamanna
gham hai to faqat itna ki tu dekh raha hai
main shahr-o-bayaban mein tujhe DhunD chuka hun
be-dard to kis hujla-e-pinhan mein chhupa hai
uThti hain jo pahlu se mere dard ki lahren
betab samundar koi sine mein daba hai
ai zist ke dozaKH se guzarte hue lamho
socha hai kabhi tum ne ki jina bhi saza hai
hum rakhte hain da'wa ki hai qabu hamein dil par
tu samne aa jae to ye baat juda hai
KHush-baKHt to wo hai jise tu apna samajh le
kahne ke liye yun to hamara bhi KHuda hai
main dozaKH-e-jaan mein bhi raha mahw-e-tag-o-taz
yun kahne ko is 'umr ka har lamha naya hai
har mauj-e-hawa tez faza ta-ba-ufuq tang
dil zarra-e-sahra hai bagulon mein ghira hai
ai dasht-e-tamanna mein bhaTakte hue aahu
tu kaun hai kis waqt ki rah dekh raha hai
kyun jage hue shahr mein tanha hai har ek shaKHs
ye raushni kaisi hai ki saya bhi juda hai
kis dast-e-hina-basta ka zewar hai wo KHanjar
gham ban ke jo har shaKHs ke sine mein gaDa hai
Thahrae use 'arsh' koi kaise jafa-kash
jo mujh se alag rah ke bhi hamrah chala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.