hairan main pahli bar hua zindagi mein kal
hairan main pahli bar hua zindagi mein kal
Amber Waseem Allahabadi
MORE BYAmber Waseem Allahabadi
hairāñ maiñ pahlī baar huā zindagī meñ kal
apnī jhalak dikhā.ī paḌī thī kisī meñ kal
māhaul meñ sajā ke añdheroñ kā ik fareb
jugnū ko maiñ ne dekh liyā raushnī meñ kal
achchhe nahīñ ki haal pe maazī kā ho asar
na pūchh aaj jo bhī huā be-kalī meñ kal
kausar kī mauj shukr ke sajde meñ gir paḌe
kyā jaane maiñ ne kyā kahā tishna-labī meñ kal
kyā jaane qātiloñ ko nahīñ hai ki hai ḳhabar
bahr-e-tavāf aa.egā 'ambar' galī meñ kal
hairan main pahli bar hua zindagi mein kal
apni jhalak dikhai paDi thi kisi mein kal
mahaul mein saja ke andheron ka ek fareb
jugnu ko main ne dekh liya raushni mein kal
achchhe nahin ki haal pe mazi ka ho asar
na puchh aaj jo bhi hua be-kali mein kal
kausar ki mauj shukr ke sajde mein gir paDe
kya jaane main ne kya kaha tishna-labi mein kal
kya jaane qatilon ko nahin hai ki hai KHabar
bahr-e-tawaf aaega 'ambar' gali mein kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.