hairat hai wo KHun ki baaten karte hain
hairat hai wo KHun ki baaten karte hain
Ashfaq Rasheed Mansuri
MORE BYAshfaq Rasheed Mansuri
hairat hai vo ḳhuun kī bāteñ karte haiñ
jo aksar qānūn kī bāteñ karte haiñ
jin kī jebeñ aksar ḳhālī rahtī haiñ
jaane kyuuñ qārūn kī bāteñ karte haiñ
apnī galiyoñ kā bhī jin ko ilm nahīñ
dekho vo rañgūn kī bāteñ karte haiñ
kab se mausam sard paḌā hai milne kā
aur vo haiñ ki june kī bāteñ karte haiñ
dil kī duniyā big-bāzār meñ rahtī hai
vo mujh se parchūn kī bāteñ karte haiñ
hairat hai wo KHun ki baaten karte hain
jo aksar qanun ki baaten karte hain
jin ki jeben aksar KHali rahti hain
jaane kyun qarun ki baaten karte hain
apni galiyon ka bhi jin ko ilm nahin
dekho wo rangun ki baaten karte hain
kab se mausam sard paDa hai milne ka
aur wo hain ki june ki baaten karte hain
dil ki duniya big-bazar mein rahti hai
wo mujh se parchun ki baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.