hairat ka imkan banata rahta hun
hairat kā imkān banātā rahtā huuñ
kuchh manzar vīrān banātā rahtā huuñ
koī to in meñ phuul sajāne aa.egā
saarā din guldān banātā rahtā huuñ
patthar jaise ḳhvāb sajā.ūñ āñkhoñ meñ
miTTī ke armān banātā rahtā huuñ
ik adnā sā shā'ir huuñ maiñ lākhoñ meñ
apnī ik pahchān banātā rahtā huuñ
ban jaatī hai jab us kī tasvīr to phir
hoñToñ par muskān banātā rahtā huuñ
gaañv kī jab jab yaad satātī hai 'afzal'
khet shajar dahqān banātā rahtā huuñ
hairat ka imkan banata rahta hun
kuchh manzar viran banata rahta hun
koi to in mein phul sajaane aaega
sara din guldan banata rahta hun
patthar jaise KHwab sajaun aankhon mein
miTTi ke arman banata rahta hun
ek adna sa sha'ir hun main lakhon mein
apni ek pahchan banata rahta hun
ban jati hai jab us ki taswir to phir
honTon par muskan banata rahta hun
ganw ki jab jab yaad satati hai 'afzal'
khet shajar dahqan banata rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.