hairat sarae harf mein aao to baat hai
hairat sarā.e harf meñ aao to baat hai
aur vāpsī kī raah na paao to baat hai
ḳhushbū ke bhed khulte nahīñ chaar roz meñ
phūloñ ke saath 'umr bitāo to baat hai
aise khulo khile hai ġhazal jaise 'mīr' kī
aa kar bhī yā'nī haath na aao to baat hai
le kar tumhāre giit jo utre diloñ ke paar
kāġhaz pe aisī naav banāo to baat hai
kyā lutf aa.ine se milī raushnī meñ hai
'nainā' diye kī qaid meñ aao to baat hai
hairat sarae harf mein aao to baat hai
aur wapsi ki rah na pao to baat hai
KHushbu ke bhed khulte nahin chaar roz mein
phulon ke sath 'umr bitao to baat hai
aise khulo khile hai ghazal jaise 'mir' ki
aa kar bhi ya'ni hath na aao to baat hai
le kar tumhaare git jo utre dilon ke par
kaghaz pe aisi naw banao to baat hai
kya lutf aaine se mili raushni mein hai
'naina' diye ki qaid mein aao to baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.