hairat se tak raha hai jahan-e-wafa mujhe
hairat se tak rahā hai jahān-e-vafā mujhe
tum ne banā diyā hai mohabbat meñ kyā mujhe
har manzil-e-hayāt se gum kar gayā mujhe
muḌ muḌ ke raah meñ vo tirā dekhnā mujhe
kaif-e-ḳhudī ne mauj ko kashtī banā diyā
hosh-e-ḳhudā hai ab na ġham-e-nāḳhudā mujhe
saaqī bane hue haiñ vo sāġhar shab-e-visāl
is vaqt koī merī qism dekh jā mujhe
hairat se tak raha hai jahan-e-wafa mujhe
tum ne bana diya hai mohabbat mein kya mujhe
har manzil-e-hayat se gum kar gaya mujhe
muD muD ke rah mein wo tera dekhna mujhe
kaif-e-KHudi ne mauj ko kashti bana diya
hosh-e-KHuda hai ab na gham-e-naKHuda mujhe
saqi bane hue hain wo saghar shab-e-visal
is waqt koi meri qism dekh ja mujhe
- Book : Junoon (Pg. 211)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.